Sunday 15 June 2014


Mein hon tera khyal hai aur chaand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chaand  raat hai

Aankhon mein chub gai teri yaad ki kirchiyan
Kandon pe ghum ki shaal hai aur chaand raat hai

Dil tor k khamosh nazron ko kia mila
Shabnum ka ye sawal hai aur chaand raat

Phr titliyan si urne lagi dasht e khawab mein
Phr khawahish e wisaal hai aur chaand raat hai

Campus ki nehar per hai tera haath haath mein
Mousam bhi  lazawal hai  aur chaand raat hai

Har eik kali ne orh liya matami libas
Har phool par malal hai aur chaand raat hai

Meri to por por mein khushi si bas gai
Us par tera khyal hai aur chaand raat hai

Chalka sa par raha hai wasi wehshton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chaand raat hai








No comments: