Thursday 30 April 2015

Ya to mere mizaj mein


Ya to mere mizaj mein rach bas gaye hein ghum
Ya dil ko ihtjaaj ki adaat nahii rahii ...






Mohabbat bhoooj nahi hoti....
Phir bhi jhukaa deti hai....




Apne haathon ki lakeerein



Apne haathon ki lakeerein na badal payi " Mohsin "
Khush naseebon se bohat haath milaye mein ne...


raat aankhon men dhali palkon pe...


urdu poetry (raat aankhon men dhali palkon pe... by barishna






Ak Chand Phir Naseeb Sai Dil Men Utar Gaya


Ak Chand Phir Naseeb Sai Dil Men Utar Gaya Sad... by FaizaSem





Na tum door jana ...



Na tum door jana ...
Na hum door jayein gye...

Hum apne apne wady nibhaein gye...
Bohat acha lagay ga zindagi ka safar...

Tum wahan se yaad karna...
Hum yahaan muskuraein gye...


Lipta hai mere dil se kisi raz ki man'nd



Lipta hai mere dil se kisi raz ki man'nd
Wo shakh jis ne mera hona hi nahi hai




Zara thehro chale jana...



Zara thehro chale jana...
Tume eik phool dena hai...

Aur tum se ehad lena hai...
Tume armaan kehna hai...

Tume dil jaan kehna hai...

Juda karne ki sazish ko...
Hume bejaan kehna hai...

Humhe tum se ye kehna hai

Batao na...

Mohabbat k liye eik phool kafi hai ?
Ya phr tum chand mango gay ?

Ya meri jaan mango gaye ?
Sada ka saath mango gye ?

Ya phr ye haath thamo gye ?

Zara thehro...!Chale jana...

Tumhe eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...




Wednesday 29 April 2015

Tume kiya likho???



Tume kiya likho???

Dost likho...

Humdam likho...

Gumghusar likho...

Ya pyaar likho???

Dil to chahta hai k

Duniya k tumam 

Khubsurat alfaz ko 

Yaqja kar k eik pyaari

Si baat likho

Tum ko apni kainaat likho






Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay



Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Eik pal mein simat ayae hon zamany jaisay


Aqal kehti hai k bhula do jo nahi mil paya
Dil wo pagal k koi baat na manay jaisay

Rastay mein wohi manzar hein purany ab tak
Bas kami hai to nahi log puraanay jaisay


Aaiyana dekh k ehsaas yehi hotaa hai
Lay gaya waqt ho umroon k khazany jaisay


Raat ki ankh se tapka howa aansu " Mohsin "
Makh'mali ghaas pe moti k daanay hon jaisay






Monday 13 April 2015


Zindagi meri uljh jati hai
Naam tera jab koi aur leta hai




Jab kabi khud ko ye samjhaon


Jaab kabi khud ko ye samjhaon k to mera nahi
Mujh mein koi cheekh uthta hai, nahi, aisa nahi





Ta'aluq tor k khuh ho gi wo bhi


Ta'aluq tor k khuh ho gi wo bhi
Bicharne ka bahana chahti thi





Ranjish hi sahi dil hi dukhane k liye aa


Ranjish hi sahi dil hi dukhane k liye aa

Aa phr se nujhe chor ke jane ke liye aa






Maghror hum bhi ghazab ke hein


Maghror hum bhi ghazab ke hein
Lekin tere gharor ka bas zara ehtaram karte hein






Chaman walon se mujh sehra



Chaman walon se mujh sehra nasheen ki bodobash achi
Bahaar aa kar chali jaati hai , veraani nahi jati



Marham na ban sake gi kabi mazraat teri


Marham na ban sake gi kabi mazraat teri
Dil torne se pehly tujhe sochna to tha





Kuch to bolo na...