Monday 16 June 2014


Agar Zindagi agar sohani hoti
Kitni be maza humari kahani hoti

Ghum se naaqaf agar sab hote
Khushi kia hai,Baat anjani hoti

Mout se hum fazool darte hein
Ye na hoti to kab zindagi hoti

Koi bhi mohtaj na kisi ka hota
Na lafz shukriya na mehrbani hoti

Basharat soch eik burhapa hi tera na hota
Tujhe jawani ki kab yun qadardani hoti


No comments: