Monday 29 September 2014


Thora sa Pagal Thora sa Dewana wo Acha Lagta Hai
Thora sa Ziddi Thora sa Naraam wo Acha Lagta Hai

Thora sa Naraz Thora sa La parwa wo Acha Lagta Hai
Thora sa Bewafa Thora sa Bawafa wo Acha Lagta Hai

Thora sa Sanjeeda Thora sa Shararti wo Acha Lagta Hai
Bas Jaisa Bhi Hai Nayab wo Anjaana sa Acha Lagta Hai




Sunday 28 September 2014


Mujhe Tum Yad Ate Ho


Kahein Koi Samundar Ho


Kahein Koi Kinara Ho


Kahein Qudrat K Manzar Ka


 Koi Dil Kash Nazara Ho


Kahein Bhegay Se Badal Ne


  Koi Mosam Sanwara Ho


Koi Sundar Sa Moti Ho


Koi Roshan Sitara Ho


Kisi Chashme Mein Qudrat Ne


 Dhanak Rang Utara Ho


Us Lamhe Mujhe Tum Yaad Ate Ho






Tum Meri Soch Ho Koi Aur Tume Soche Tu Kyun ?
Tum Meri Chahat Hai Koi Aur Tume  Chahe Tu Kyun ?


Tum Meri Nazar Ka Aina Ho Koi Aur Tume Dekhe Tu Kyun ?
Tum mere Labon Ka Naghma Ho Koi Aur Tume Gaye Tu Kyun ?


Tum Meri Payari Si Dua Ho Koi Aur Tume Mange Tu Kyun ?
Tum Meri Soch Ho Koi Aur Tume Soche Tu Kyun ?






Saturday 27 September 2014

Tu Apne Fun Se Meri Chahat Ko Azma K Dekha


Tu Apne Fun se Meri Chahat Ko Azma K Dekha
Mein Toot-ta Hon Tu Phir Se Mujhe Bana K Dekha


Tere Badan Mein Lahu Ban K Dorta Hun Mein
Tujhe Ana Ki Kasam Hai Mujhe Bhula K Dekha


Mein Itne Dard Mein Bhi Qehqayhay Lagta Hon
Tu Eik Dukh Mein Mujhe Sirf Muskura K Dekha


Tujhe To Mein Ne Hamesha Manaya Hai Lekin
Mein Aj Rooth Chala Hon Mujhe Mnana K Dekha





Saturday 20 September 2014

Is Shehr Mein Kitne Chehry Thy


Is Shehr Mein Kitne Chehray Thy Kuch Yad Nahi Sab Bhul Gaye
Aik Shaks Kitaboon Jesa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Howa





Sunday 14 September 2014

Sirf Mein Hi Tham Sakon Haath Us Ka


Sirf Mein Hi Tham Sakhoon Haath Us Ka
Mujh Pe Itni Anaayat Si Kar Day


Wo Reh Paye Na Eik Pal Bhi Mere Bina
Aye Khuda Tu Us Ko Meri Adaat Si Kar Day


Itna Toot K Chahoon Mein Us Ko
K Meri Chahat Ko Us Ki Adaat Si kar Day


Koi Cho Na Paye Apne Khyalat Mein Bhi Us Ko
Har Eik K Zehaan Mein Us Ki Hafazat Si Kar Day


Band Aankhon Mein Bhi Dekh Paon Us Ko
Meri Nazar Ko Aisi Ijaazat Si Kar Day


Rakhon Gi Khyal Us Ka Umer Bhar K Liye
Apne Ap Ko Wo  Meri Amanat Si Kar Day








Pura Dukh Aur Aadhura Chaand
Hijr Ki Shab Aur Aisaa Chaand


Itne Ghane Badal K Pechhe
Kitna Tanhaa Hoga Chaand


Meri Karwat pe Jag Uthe
Neend Ka Kitna Kachaa Chaand


Sehra Sehra Bhatak Rahaa Hai
Apne Ishq Mein Sachaa Chaand


Raat K Shayed Ek Baje Hein
Sotaa Hoga Meraa Caand







Monday 8 September 2014


Pehly Mera Khat Ke Us Ne
Ik Anjane KHof ke Dar Kar
Tukre Tukre Kar Dale
Ab
Ik Haseen Ihsaas Ke Tab'a
Jis Ka Koi Naam Nahi Hai
Pichle Kitne Hi Ghanton Se
Darwaze Ki Aoot Main Chup Kar
Tukre Jor Rahi Hai... Pagal 





Aaj Yun Mausam Ne De Jashn-e-Mohabbat ki Khabar
Phoot ker Rone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Hum Ne Joon Hi Kar Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Raastey Khone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya
Devta Hone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Aaj Phir Mehroomiyon Khabi Daastane Orh Kar
Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum


Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi
Khamoshi Dhone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum










 

Kitna shafaaf tha manzar mera


Kitna shafaaf tha manzar mera
Kitni dhool urri hai mujh mein


Zindagi kabi raqss karti thi
Ab to chup chaap pari hai mujh mein




Sunday 7 September 2014


Apni hi saada sunun kahan tak ???
Jungal ki hawa rahon kahan tak???


Har bar hawa na ho gi dar par
Har bar magar uthon kahan tak???


Dum ghut'ta hai ghar mein hubas wo hai
khushbu k liye apna raffuu karon kahan tak???


Sahil se samandaron se bach kar
Mein tera naam likhon kahan tak???


Tanhai ka eik eik lamha
Hangamon se qarz lon kahan tak???


Gar lams nahi to lafz hi bhej
Mein tujh se juda rahon kahan tak???


Sukh se bhi to dosti kabi ho
Dukh se hi gale milon kahan tak???


Mansob ho har kiran kisi se
Apne liye hi jalun kahan tak???


Anchal bhar k mere phat rahe hein
Phool us k liye chunu kahan tak???









Tummam raat mere ghar ka ...


Tummam raat mere ghar ka eik dar khula raha
Mein raah dekhti rahi wo raasta badal gya





Monday 1 September 2014

Uss ke baghair aj bohat...


Uss ke baghair aj bohat jee udaas hai
Jalib chalo kahein se usay dhoond layein hum