Monday 30 November 2015

December ka rawaiya Be



December ka rawaiya Be
Ussi Bedard Jaisa hai


Na Jazbon Mein Tapish Koi
Na Lehjay Mein koi Garmi

Na Baaton Mein koi Narmi
Siyah Raatein, Khafa Neendein

Thakan se Chor Jism o Jaan
Na Seenay Mein Arman koi

Na Khawab Meharban Koi
December ka Rawaiya Bhi

Ussi Bedard Jaisa




Do ghari us se rahon door to yun lagta hai


Do ghari us se rahon door to yun lagta hai,
Jis tarah saya e dewaar se dewaar juda...


Sunday 29 November 2015

Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi,


Aag se seekh liya hum ne ye qareena bhi
Bujh bhi jana par bari dair tak sulagte rehna

Jane kis umer mein jaye gi ye aadat apni
Roothna us se aur auron se ulajhte rehna




Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna



Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna
Mujh Ko Kya Kya Na Ras Tha Warna

Tu To Ranaiyon Me Gum Hi Raha
Me Tere Aas Pas Tha Warna

Tere Kehne Pe Tujh Ko Na Manga
Tu Mri Eltimas Tha Warna

Aaj Bethe Ho Ghair K Pehlu
Tu Mri Pehli Aas Tha Warna

Mujh Ko Bakhshi Nigaah Qudrat Ne
Me To Duniya Shanaas Tha Warna

Aaj Mujh Se Na Wasta Hafiz
Koi Mujh Se Na Khas Tha Warna...


Sunday 22 November 2015

Us ko zarorat hi khench lati hai...






Ye dil udaas hai koi peghaam hi likh do



Ye dil udaas hai koi peghaam hi likh do
Tum apna naam na likho gumnaam hi likh do

Meri qismaat mein ghaam e tanhaii hai lekin
Tumam umer na likho magar eik shaam hi likh do




Phool to sare jhaar gaye...


Phool to sare jhaar gaye lekin ...
Teri yaad ka zakham hara hai...