Sunday 7 September 2014


Apni hi saada sunun kahan tak ???
Jungal ki hawa rahon kahan tak???


Har bar hawa na ho gi dar par
Har bar magar uthon kahan tak???


Dum ghut'ta hai ghar mein hubas wo hai
khushbu k liye apna raffuu karon kahan tak???


Sahil se samandaron se bach kar
Mein tera naam likhon kahan tak???


Tanhai ka eik eik lamha
Hangamon se qarz lon kahan tak???


Gar lams nahi to lafz hi bhej
Mein tujh se juda rahon kahan tak???


Sukh se bhi to dosti kabi ho
Dukh se hi gale milon kahan tak???


Mansob ho har kiran kisi se
Apne liye hi jalun kahan tak???


Anchal bhar k mere phat rahe hein
Phool us k liye chunu kahan tak???









No comments: