Sunday 22 June 2014


Saans  atki  hui  reh  gai
Ishq mein kuch kami reh gai

Dil se sab rahtein uth gaein
Ab to bas be basi reh gai

Umer k har haseen mor par
Zindagi  sochti  reh  gai

Hans diye hum bichar k magar
Aankh mein kuch nami reh gai

Doston ne kiye wo karam
Dushmani dekhti reh gai

Ho gaye wo musahib to kia
gir dino mein khami reh gai

Shad aai sehar to magar
Roshni mein kami reh gai


Eik shakhs pas reh kar smjha nahi mujhe

 

Eik shakhs pas reh k smjha nahi mujhe
Is baat ka malal hai shikwa nahi mujhe

Mein us ko bewafai ka ilzam kaise don
Us ne to ibteda se hi chaha nahi mujhe

Pathar samjh kar paon se thokar laga di
Afsos teri aankh ne parkha nahi mujhe

Kia umeedhein bandh kar aya tha samne
Us ne to aankh phar kar dekha nahi mujhe


Wednesday 18 June 2014

Ab to bas jaan hi dene ki bari hai "Mohsin"


Ab to bas jaan hi dene  ki  bari  hai  "Mohsin"
Mein kahan tak sabat kron  k wafa  hai mujh mein




Usne jab jab bhi mujh ko dil se pukara 'Mohsin
Mein ne tab tab ye bataya  ke tumhara "Mohsin

Log sadiyo ki khataon se bhi khush baste hein
Hum ko lamhon ki Wafaon  ne ujara "Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqeen ab wo nahi aye ga
Gham aur anso ne diya dil ko sahara "Mohsin

Wo tha jab pass to jeene ko bhi dil krta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara "Mohsin

Us ko pana to maqader ki lakeeron mein nahi
Us ko khona bhi krein kaise gowara 'Mohsin










Tuesday 17 June 2014

Yun wafa k silsilay musalsal narakh kisi se "Mohasin"


Yun wafa k silsilay musalsal na rakh kisi se " Mohsin"
Log eik wafa k badlay sari wafaein bhul jate hein



Monday 16 June 2014

Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna


Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna
Log pochein gye kyun preshan ho tum

Kuch nigahon se kehna ,Zuban pe taalay rakhna
Na khoney dena mere beetay lamhon ko

Meri yadon ko baray pyar se sambhaley rakhna
Tum loat aao gye itna yakeen hai mujh ko

Mere liye kuch waqt nikaley rakhna
Hum ne kuch naya dekha hi tum mein phir

Mere liye apney andaaz niraley rakhna
Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna






Agar Zindagi agar sohani hoti
Kitni be maza humari kahani hoti

Ghum se naaqaf agar sab hote
Khushi kia hai,Baat anjani hoti

Mout se hum fazool darte hein
Ye na hoti to kab zindagi hoti

Koi bhi mohtaj na kisi ka hota
Na lafz shukriya na mehrbani hoti

Basharat soch eik burhapa hi tera na hota
Tujhe jawani ki kab yun qadardani hoti


Sunday 15 June 2014


Mein hon tera khyal hai aur chaand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chaand  raat hai

Aankhon mein chub gai teri yaad ki kirchiyan
Kandon pe ghum ki shaal hai aur chaand raat hai

Dil tor k khamosh nazron ko kia mila
Shabnum ka ye sawal hai aur chaand raat

Phr titliyan si urne lagi dasht e khawab mein
Phr khawahish e wisaal hai aur chaand raat hai

Campus ki nehar per hai tera haath haath mein
Mousam bhi  lazawal hai  aur chaand raat hai

Har eik kali ne orh liya matami libas
Har phool par malal hai aur chaand raat hai

Meri to por por mein khushi si bas gai
Us par tera khyal hai aur chaand raat hai

Chalka sa par raha hai wasi wehshton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chaand raat hai








Udasiyon se Wabasta hai meri ye Zindagi WASI


Udasiyon se Wabasta hai meri ye Zindagi WASI
Khuda Gawaah hai k phr bhi Tujhe Yad krte hein



Ye be-sabab nahii gharon k san'nate


 Ye be-sabab nahii gharon k san'nate
Makaan yad kia krte hein makeeno ko



Saturday 14 June 2014


Kabhi ye dawaa k wo mera hai faqat mera
Kabhi ye dar k wo mujh se juda to nahi

Kabhi ye dua k use mil jayein sare jahan ki khushiyan
Kabhi ye khof k wo khush mere bina to nahi

Kabhi ye tamana k bas jaon us ki nigahon mein
Kabhi ye dar k us ki aankhon ko kisi ne dekha to nahi

Kabhi ye khawahish k zamana ho muntazir us ka
Kabhi ye veham k wo kisi se mila to nahi

Kabhi ye Aarzu k wo jo mange mil jaye usay
Kabhi ye waswasa k us ne mere siwa kuch manga to nahi












Mohabbat aur kisi se na ho pai
Aarzu meri aj bhi tum ho




Wednesday 11 June 2014


Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala


 Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala

Ab ise log smjhte hein giraftaar mere
Sakhat nadim hai mujhe daam mein lane wala

Kia kahein kitne marasim thi is se
Wo jo eik shakhs hai munh pher k jane wala

Tere hote hue aa jati thi sari duniya
Aj tanha hon to koi nahi ane wala

Muntazir kis ka hon tuti hui dahaliz pe mein
Koun aye ga yahan koun hai ane wala

Mein ne dekha hai baharon mein jalte hue
Hai koi khawab ki tabeer batane wala

Kia khaber thi jo meri jaan mein gula hai itna
Hai wohi mujh ko sare dar bhi lane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlas smjhte ho "Faraz"
Dost hota nahi har haath milane wala


is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa ha



Is tarah Satayaa hai Preshaan kia hai
Goya k Mohabbat nahi Ahsaan kia hai
 
Socha tha k tum Dosron jaise Nahi ho gye
Tum ne bhi meri jaan wohi kaam kia hai

Mushkil tha Bohat mere liye Tark e Taaluq
Ye kaam bhi tum ne mera aasaan kia hai

Hae roz Sajate hein teri Hijar mein Gunche
Aankhon ko teri Yaad mein Guldan kia hai



Tuesday 10 June 2014


    Suraat ki Deewani Duniya
    Mann ke Andar Jhanke koun




     Ghar bana kar woh mere dil mein chorr gya hai
      Na khud rehta hai na kisi aur ko basne deta hai



Monday 9 June 2014


        Phir Chand Khila ,Phir Raat thami
        Mere Dil ne kaha hai Teri Kami

        Phir Yaad k Jhonkey Mehak gaye
        Phir Pagal Armaan behak gaye

       Phir Jannat si lagti hai Zameen
       Phir Dil ne kaha hai Teri Kami

       Phir Guzre lamhoon ki baatein
       Phir Jaagi Jaagi si Raatein

       Phir thehr gai Palkoon pe Nami
       Phir Dil ne Kaha hai Teri Kami






      Tumhri dosti tumhari  Wafa hi kafi hai
      Tumam Umer ye Asra hi kafi hai

       Jahan kahein bhi milo mil k Muskura dena
       Zindagi k Waste ye Silsala hi kafi hai





     Jahan sawal k badle Sawal hota hai
     Wahan Mohabbaton ka Zawal hota hai

     Kis ko apna banana Hunar hi Sahi
     Kisi ka ban k rehna Kamal hota hai



   

Phool ban kar Muskhrana Zindagi hai
Muskura k ghum bhulana Zindagi hai

Mil kar Khush howe to kia howe
Bina mile Rishte nibhana Zindagi hai





Fizaa mein mehkaati shaam ho tum
Pyaar ka chalakta jaam ho tum

Tume dil mein chupaaye phirte hein
Ay Jaan meri Zindagi ka dosra naam ho tum





Sunday 8 June 2014

TASBEEH-E-MUHABBAT


TASBEEH-E-MUHABBAT by A1channel




Saath to eik pal ka tha phr kyun yaad ate ho tum


      Saath to eik pal ka tha phr kyun mujhe yad ate ho tum
      Aks ki tarah mere Dil pe kyun chaa jate ho tum

      Dilbar bhi nahi ho mere humdam bhi nahi
     Ye raaste pyar k mujhe phr kyun dikha jate ho tum

     Hum kabhi mile thy to eik ajnabi ki tarah
     Meri raaton ki neend phr kyun ura jate ho tum

     Hawa se hum tumhara pata pochte rahe
     Kuch aisi tarah se apna dewana bana jate ho tum

    Saath to eik pal ka tha phr kyun yaad ate ho tum




    Mohabbat bhi Raas na aai kya krtea
    Thi Qismat mein hi Tanhai kyaa  krte

   Socha tha day ga Umer bhar Saath jo
   Di ussi ne hi Judaai  krte

   Hua jo Rukhsat hum ne phor di aankhein
   Tere baad hum ye Benayi kya krte

   Jo wo eik Shakhs hi hume na Mila
   Lay k hum Sari Duniya kya krte



   

Saturday 7 June 2014


         Itna gafil to Andhion  se koi Raigistaan na ho ga
         Jitna gafil  wo  shakhs aj meri yad sey hai



Thursday 5 June 2014


Eik shakhs jo door bohat door kahein rehta hai
Phr bhi dil k eik kone mein kahein rehta hai

Mein manta na tha keh, Mohabbat hai mujhe us say
Phr kyun rota raha raat bhar,Dil apna hi mujhe kehta hai

Kia haal bataon is pyar mein Faisal
Aankhon se to jaies koi daryaa sa behta hai

Wo mera hai mera ho ga umer bhar k liye
Bas issi khushfehmi mein dil sona sa rehta hai

Wednesday 4 June 2014

Hume ab kho k keht hai mujhe tum yad ate


Hume ab kho k keht hai mujhe tum yad ate
Kisi ka ho k kehta hai mujhe tum yad ate ho

Tummam umer diye hein dukh usne dukh mere dil ko
Wo hi ab roo k kehta hai mujhe tum yad ate ho





Tuesday 3 June 2014

Us shakhs ko to bicharne ka saleeka nahi "Faraz"



   Us shakhs ko to bicharne ka saleeka nahi " Faraz"
   Jaatey howe khud ko mere pass chor gaya 



                                       

Sabot mang rahey hein meri tabahi ka


Wo ujhal meri Nigahon se kahan Rehta hai


                                          Wo ujhal meri Nigahon se kahan Rehta hai
                                          Ashk ban kar meri Aankhon se raan Rehta hai

                                          Kisi lamhe Tanha hone nahi deti us ki Yadein
                                          Mere Aangan mein melay ka Sama Rehta hai

                                         Har ghari Dil ka daricha khula Rehta hai
                                         Har ghari us k Ane ka Gumaan Rehta hai

                                        Log kehte hein Zakham bhar jate hein Akhir
                                        Zakham bhar jata hai,lekin Nishan Rehta hai

                                        Wo mile kahein  to Itna bata dena Us ko
                                        Tujh bin tera Dost pareshaan Rehta hai








                                   

Monday 2 June 2014

Shehr e Khyal o Khawab mein Abad ho Gaya


                                            Shehr e Khyal o Khawab mein Abad ho Gaya
                                            Itna Usay Parha k Mujhe Yaad ho Gaya

                                            Mein aj Tak hon jis k Fareeb o Hisar Mein
                                            Wo aur hi kisi ka Mere Baad ho Gaya

                                            Aandhi Hawa k saath Nibhane k shok Mein
                                            Koi Tabah howa ,Koi Barbad ho Gaya

                                            Apni to Sari Umer Aseeri mein Kat Gai
                                            Jis ne bhi Haar Maan li Azaad ho Gaya

                                            Pehly to Tanhaiyo se rahi Guftagu Meri
                                            Phr Yun howa k Aaina Ejaad ho Gaya

                                         

Sunday 1 June 2014

Kabhi kuch Soch k likhna,Kabhi kuch Soch k parhna


                                                                           
                                       Kabhi kuch Soch k likhna ,kabhi kuch Soch k Parhna

                                       Ye Na'mumkin si koshish hai Mohabbat Soch k Karna

                                       Kisi ka dilruba Chehra or us pe Dil'nasheen Aankhein

                                       Keh  Jis ko Dekh k Jeena  usi  ke  Naam Pe  Marna

                                       Ye Na'mumkin si Koshish hai Mohabbat Soch k Karna

                                        Khyaloon Mein bana lena kisi ka Aqs Dheeray Se

                                       Chura k rang Sapno k kisi ki Aankh mein Bharna

                                       Ye Na;mumkin si Koshish hai Mohabbat Soch k Karna






Abhi tak yad kar rahe ho pagal ho qasam se


Sab mujhe kehte hein usay bhool ja