Wednesday 27 January 2016

Kal Raat Ye kaisa sapna tha


Kal Raat Ye kaisa sapna tha
Eik umer hui jo bichra tha
Wo shab bhar saath tha apna tha

Kal raat ye kaisa sapna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

Jab khawab mein hum dono thy mile
Dono ke mann ke phool khile
Phir khub howe thy gile shikwe

Kia tera mujh se liptna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

Thein yaad humein saari baatein
Wo pyaare din wo pyaari raatein
Chup chup ke thein pyar ki ghatein

Tera chori ghar se nikalna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

Honton par tere tabassum tha
Aur ankh ka sehra purnum tha
Tha shaad kabhi tu barham tha

Kabhi mujh ko tera takna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

Kia ghair tha tera haal sanam
Chup ankhein bikhre baal sanam
Kia kar gye mah o saal sanam

Kia waqt ko yun hi guzarna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

Tujhe pa kar hum madhosh howe
Nashe mein kuch behosh howe
Phir yakdam tum khamosh howe

Phir eik dam ankh ka khulna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha

 Ab mein hon yaad tumhari hai
Abi raat bhi baqi saari hai
Ab zeest ye nujh par bhari hai

Mera sapna yun hi bikharna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha



a

Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon


Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon

Ab bhi hai yaad bohat pehli mulaqat mujhe
Yaad hai yaad hai sab choti bari baat mujhe
Yaad hai muchle howe tere jazbaat mujhe
Tujh ko gar yaad nahi koi ashara kar loon

Mein ne socha hai ab tujh se kinara kar loon

Dil dharkty thy kabhi saath humare Jaana
Ashk behte thy mere dukh pe tumhare jaana
Aj tanhaa hon kahan hein wo sahare jaana
Kash us waqt ko hasil mein dobara kar loon

Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon

Jane kia baat hai ab badli howi lagti ho
Ajnabi lagti ho tum jab bhi mujhe takti ho
Mein yaqeen kaise karon aisi bhi ho sakti ho
Be rukhi teri bata kaise gawara kar loon

Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon

Tu bulaye gi to aaon ga tere dar par tab
Aik na aik roz to kat jaye gi ye hijar ki shab
Ab ye parwa hai kis ko ke sehar ho gi kab
Aj ji bhar ke mein dedar tumhara kar loon

Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon

Mein nahi aaon ga tujh ko jo zara pyar nahi
Uth ke jane lagon to rukne pe asrar nahi
Ghum se mein darta hon gar to meri ghum-khawar nahi
Tu sitam dhaye kisi par ye nazara kar loon

Mein ne socha hai ke ab tujh se kinara kar loon



Wednesday 20 January 2016

Jo aaj dil beqaara sa hai


Jo aaj dil beqaara sa hai
yuhi to mosam bahar sa hai

Qadam hein zahid ke dagmagate
keh is pe ab tak khumar sa hai

bhari hai mehfil magar hai chup chup
Keh  jaise  eik  intezaar sa hai

Teri gali mein hai sheikh ko dekha
Issi  liye  sharmsaar  sa  hai

Batao is dil ke dam kia hein ?
Keh  ishq  ab  beupar  sa hein

Tum  aaj Zulfi se door baitho
Wo  aaj  be-ikhteyar  sa  hai






Tuesday 19 January 2016

ٹوٹنے والے بکھر کے بھی ؑؑصدا نہیں دیتے


ٹوٹنے والے بکھر کے بھی ؑؑصدا نہیں دیتے
مِٹا دیتے ہیں اپنی ہستی کو دغا نہیں دیتے

درد تو دیتے ہیں یہ درد کا درماں بن کر
دردِ دل کی مگر  کبھی دُعا نہیں دیتے

اُجاڑ دیتے ہیں سارا ہی چمن یہ زمانے والے
مہکتے ہوۓ پھولوں کومگر رِدا نہیں دیتے

عجب دستور دیکھا ہے ھم نے اس سنسار کا
امیر کو ملیں جھک کر غریب کو آسرا نہیں دیتے

صیاد دیتے ہیں حکمِ رھائی  ترسا ترسا کر یہاں
قید میں پرندوں کو مگر یہ دانہ دُنکا نہیں دیتے

ھمارے دیس میں بھٹک رہی ہے قوم ساری
منزلِ راہ کا پتہ ھمارے راہ نما نہیں دیتے

دے دیتے ہیں بے بہا خزانِ تسلی اور دعاؤں کے
سہارا مانگوں ان سے تودستِ دُعا نہیں دیتے

بیگناہ یہاں سولی پے تو چڑھا دیتے ہیں منصف
قاضیِ شہر مقتول کا مگر خون بہا نہیں دیتے

ڈبو دیتے ہیں بیچ منجدھار میں نا خدا ھمارے
کسی پیاسے کو مگر یہ آبِ دریا نہیں دیتے

امن تو اب خواب ہو گیا میری دھرتی ماں کا
ماں کو اس کے بیٹے ظلم کے ماسوا نہیں دیتے

چھین لیتے ہیں غریب کے کھیت کھلیان مگر
کسی بھوکے کو پیٹ بھر کرغزا نہیں دیتے

نہیں دیتے تو بس جینے کا حق نہیں دیتے ساجن 
ورنہ سخاوت کے دعوےدار کیا کیا نہیں دیتے

  ( عبدالرؤف ساجن )







Monday 11 January 2016

Ab Mera Ji Nahi Lagta SAJAN.....


Ab Mera Ji Nahi Lagta SAJAN, Is Ujre Howe Diyar Mein
Ya Mein Wo Nahi Raha,Ya Wo Baat Na Rahi Mere Yaar Mein






Sunday 10 January 2016

Thursday 7 January 2016

آنے والی تھی حزاں ، میدان خالی کر دیا



آنے والی تھی حزاں ، میدان خالی کر دیا
کل ھواۓ شب نے سارا لان خالی کر دیا

باٹنے نکلا ھے وہ پھولوں کے تحفے شہر میں
اس خبر پر ھم نے بھی ، گلدان خالی کر دیا