Sunday 22 June 2014


Saans  atki  hui  reh  gai
Ishq mein kuch kami reh gai

Dil se sab rahtein uth gaein
Ab to bas be basi reh gai

Umer k har haseen mor par
Zindagi  sochti  reh  gai

Hans diye hum bichar k magar
Aankh mein kuch nami reh gai

Doston ne kiye wo karam
Dushmani dekhti reh gai

Ho gaye wo musahib to kia
gir dino mein khami reh gai

Shad aai sehar to magar
Roshni mein kami reh gai


No comments: