The home of urdu poetry, urdu shayari, sad shayari, urdu sms, love poetry, sad poetry and hindi shayaris. Most updated urdu poetry website on the web with hundreds of poetry categories on lots of topics.
Labels
- 2 line poetry (55)
- ghazal (42)
- Nazam (15)
- 4line poetry (14)
- video poetry (13)
- Good Morning (12)
- love shairy (9)
- sad poetry (8)
- Yad shairy (4)
Saturday, 31 October 2015
Monday, 19 October 2015
Friday, 16 October 2015
Saturday, 19 September 2015
Friday, 18 September 2015
Thursday, 10 September 2015
Naat e Rasool e Maqbool
Tere kadmo ki Khak Bano, Hasti ki Baqi Na Boo Rahe
Tera Dar Ho Mera Sar Ho, Mere Dil Mein Tu Hi Tu Rahe
Mujhe Tera Deedar Ho, Tere Aashiqon Mein Mera Shumar Ho
Tujh Ko Hii Mein Dekhaa Karon, Tu Mere Chaar So Ho
Hoti Rahe Aahat Teri, Mere Dil Ki Chaukhat pe Sada
Jahan Sara Mein Chor Don, Tu Mere Ruh ba Ruh Rahe
Meri Jabeen-e- Niyaz Ho, Mere Aqa Tera Nalain Dil nawaz Ho
Sar Ko Qadam Bana Ke Chalon, Teri Chaukhat Meri Arzu Rahe
Tere Qadmon Ki Dhul Ho, Mera Chehra Khila Phool Ho
Teri Rahguzar Ke Nisaar Mein, Mujhe Teri Hi Justuju Rahe
Tera Kalma Pathron Ne Parha, Dushman Bhi Adab Se Howa Khara
Tere Rab-e-Karim Ki Hia Ye Raza, Tera Zikar Ku-b-ku Rahe
Aye Shafi-e-Mehshar, Saqi-e-Kausar,"SAJAN" Pe Ho Itni Nazar
Mujhe Payas Jo Tarpaye To, Teri Deed Jaam-o-Saboor Rahe
Wednesday, 9 September 2015
Wo Mera Jism-o- Jaan , Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Mera Jism-o- Jaan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Hai Mera Ruh-e- Rawan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Hai Shireen Bayan, Mein Hon Kaj Muj Zuban
Wo Hai Mera Sukhan Dan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Hai Husan-e- Javidan, Mein Hon be Naam-o-Nishan
Wo Mera Khasa-e- khashan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Is Ka Talib Eik Jahan, Mere Liye Wo Sara Jahan
Wo Hai Mera Mah-e-Taban, Mein Is Ka Kuch Bhi Nahi
Is Ka Wajood Saya Amaan, Mera Wajood Nafrat Ka Makaan
Wo Mera Mehkta Gulstaan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Mere Dard Ka Darman, Is Ke Wasaf Be Karan
Sajan Kaise Kare Bayan, "SAJAN" To Kuch Bhi Nahi
Monday, 7 September 2015
Mein Usay Yaadon Ki Rahon Par
Mein Usay Yaadon Ki Rahon Par Dhundne Nikal Jata Hon
Aur Khushk Pattaon Ki Tarah Aksar Toot Ke Bikhar Jata Hon
Kisi Rah Guzar Pe, Kisi Pair Ke Saye Talay,Kisi Nukar Par
Wo Rashk e Qamar Nazar Ata Hai To Simat Kar Nikhar Jata Hon
Jab Wo Pochta Hai ,Kia Meri Yaadon Mein ab Bhi Rote Ho
Mein Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Saaf Mukar Jata Hon
Us Ka Dil Kabhi Naram ,Kabhi Sanglakh Chitano Jaisa Hai
Kabhi Dil Mein Utar Jata Hai,Kabhi Dil Se Utar Jata Hai
Ajab Dhoop Chahhon Jaisi Mohabbat Hai Us Ki "SAJAN"
Kabhi Pa Kar Bighar Jata Hai,Kabhi Kho Kar Sudhar Jata Hai
Sunday, 6 September 2015
Wednesday, 2 September 2015
Daman Pe Lage Dagh Kisi k Dho Kar To Dekho
Daman Pe Lage Dagh Kisi k Dho Kar To Dekho
Kisi k Dukh Sare Apn Andar Samo kar To Dekho
Muskurahat Pe To Sabi Saja Lete hein Muskurahatein Apni
Kisi k Dard Pe Kabi Apni Palkein Bigho Kar To Dekho
Ache Achon ko To Seenay Se Laga Hi Lete Hein Sare
Kabhi Bure Buron Ke Bhi Tum Ho Kar To Dekho
Insaan Ho To Karo Insaano Ki Zaat Se Bhi Pyar Tum
Phool Day Kar,Kaantay Khud Ko Kabhi Chabo Kar To Dekho
Do Jahan Ki Naimaton Se Bhar Day Ga Jholi Tera Malik
Kabhi Sajde Mein Sadq- e -Dil Se Sajan Ro Kar To Dekho
Saturday, 1 August 2015
Harf e Ilzam Bano Ya Dua Ho Jaon
Harf e Ilzam Bano Ya Dua Ho Jaon
Kash Mein Kabi Tere Honton Se Ada Ho Jaon
Rook Lena Mera Haath Pakar Kar Mujhe
Bekhayali Mein Agar Tujh Se Juda Ho Jaon
Agar Mein Door Ho Jaon
Agar Mein Door Ho Jaon
To Palkon Ko Jhapka Dena
Agar Aansu Gira Koi
Samjh Jana Wo Mein Hon
Haatheli Samne Rakhna
Ke Sab Aansu Girein Us Mein
Ruk Jaye Jo Honton Pe
Samjh Jana Wo Mein Hon
Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Ankhein Band Kar Lena
Jo Sab Se Tez Jhonka Ho
Samjh Jana Ke Wo Mein HoN
Agar Tum Bhulna Chaho Mujhe
Shayed Bhula Do Mujhe Tum
Jab Sans Aye To Samjh Jana
Ke Wo Mein Hon
Mohabbat ki Zanjeer se Dar Lagta Hai
Mohabbat ki Zanjeer se Dar Lagta Hai
Kuch Apni Taqdeer se Dar Lagta Hai
Jo Mujhe Tum Se Juda Kar Day
Haath Ki Us Laker Se Dar Lagta Hai
Tuesday, 7 July 2015
Kyun Ho Itnay Khafa Khafa Se
Kyun Ho Itnay Khafa Khafa Se
Kyun Ho Itnay Juda Juda Se..
Tujhe Bhula Daein To Kaisay
Kyun Ho Itnay Dua Dua Se..
Ye Tanhai Dasti Hai Mujhe,
Kyun Ho Itnay Saza Saza Se..
Tera Hi Zikar Kia Mein Ne Har Gari,
Kyun Ho Phir Itnay Bewafa Bewafa Se..
Tera Hi Naqsh Namayaan Hai Janaa,
Aashar Ki Har Ada Ada Se..
Friday, 3 July 2015
Suraj ko Dafnanay Aye
Suraj ko Dafnanay Aye
Dhalti Shaam Ke Lambay Saye
Dukh Ne Sukh Ka Saans Liya Hai
Kash Koi Phir Yaad Na Aye
Eik Hi Rasta Hum Dono Ka
Dekhein Koun Kahan Tak Jaye
Aaj Ghaat Se Khushbu Barsi
Jaise Koi Zulfain Lehraye
Kash Koi Samjhae Us Ko
Lekin Koun Usay Samjhaye
Tujh Se Yun Bichra Ho Jaise
Pathar Se Sheesha Takraye
Banjar Dharti Poch Rahi Hai
Chand Pe Kis Ne Shahar Basaye
Wo Khushbu Ki Mouj Hai "MOHSIN"
Koun Us Ki Tasveer Banaye
Udas Raatein Aur Mera Arooj -e - Tanhai To Dekho,
Udas Raatein Aur Mera Arooj -e - Tanhai To Dekho,
Ke Mujhe Phir Tum,Eik Tum,Bas Tum Yaad Aa Rahe Ho...!!
Wednesday, 1 July 2015
Tuesday, 30 June 2015
Kaha Tha na Mein Nazuk Hun na Tarash Mujhay
Kaha Tha na Mein Nazuk Hun na Tarash Mujhay
Janun ne Kar Diya Pash Pash Mujhay
Mujhe Khabar Karan Jo Mera Nisha Pao
Bohat Dino Se Hai Apni Talash Mujhay
Thursday, 25 June 2015
Chalo Khawab Ankhon Mein Saja Kar Dekhtay Hein
Chalo Khawab Ankhon Mein Saja Kar Dekhtay Hein
Chalo Hum Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hein
Khon K Rishton Say Aitabar Uth Gaya
Chalo Benam Rishtay Bana Kar Dekhtay Hein
Zindagi Asan Ho Jaye Shayad Humari
Chalo Hath Ki Lakirien Mita Kar Dekhtay Hein
Andheri Shab Tu Kisi Surat Kat'ti Nahi
Chalo Ghar Apna Jala Kar Dekhtay Hein
Hamein Maloom Hay K Tum Nay Hamara Hona Nahi
Chalo Tum Per Ye Zindagi Luta Kar Dekhtay Hein...
Wednesday, 24 June 2015
Mujhe Tum Yaad Ate Ho,
Mujhe Tum Yaad Ate Ho,
Kahein Koi Samadar Ho,Kahein Koi Kinara Ho,
Kahein Qudrat k Manzar Ka Koi Dilkash Nazara Ho,
Kahein Bheegay Se Badal Ne Koi Mosam Sanwara Ho,
Koi Sundar Sa Moti Ho, Koi Roshan Sitaara Ho,
Kisi Jashmay Mein Qudrat Ney Dhanak Sa Raang Utara Ho,
Us Lamhay Mujhe Tum Yaad Aate Ho Mujhe Tum Yaad Ate Ho,
Tuesday, 23 June 2015
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Mujh Pe Ehsan Hawa Karti Hai
Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar
Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai
Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi
Jo Mujhe Tuj Se Juda Karti Hai
Zindagi Meri Thi Lekin Ab To
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai
Us Ne Dekha Hi Nahein Warna Ye Ankh
Dil Ka Ehwal Kaha Karti Hai
Beniyazi-e-Kaf-e-Dariya Angusht
Ret Par Naam Likha Karti Hai
Sham Parte Hi Kisi Shakhs Ki Yaad
Kucha-e-Jana Mein Sada Karti Hai
Mujh Se Bhi Us Ka Waisa Hi Suluk
Hal Jo Tera Ana???Karti Hai
Dukh Hua Karta Hai Kuch Aur Bayan
Baat Kuch Aur Howa Karti Hai
Abr Barse To Inayat Us Ki
Shakh To Sirf Dua Karti Hai
Masla Jab Bhi Utha CHiragon Ka
Faisala Sirf Hawa Karti Hai...
Muhabbat Ki Adaalat Mein Shikayat Nahi Kar Sakti
Muhabbat Ki Adaalat Mein Shikayat Nahi Kar Sakti
Gily Shikway Mukabil Hon To Chahat Har Jati Hai..!!!
Monday, 1 June 2015
Tuesday, 12 May 2015
Wednesday, 6 May 2015
Wafa ki Dastan e Ghum Chalo Tum
Wafa ki Dastan e Ghum Chalo Tum ko Sunate Hein
Jo Dil par Dahg hein Apne Sabi Tum ko Dekhate Hein
Suno Neendein Nahi Ati Ke Dil Betaab Rehta Hai
Kabi Titli ke Kache Rang Aur Kabi Jugnu Satate Hein
Suno Jab Sham Hoti Hai Andheron Se Khafa Ho Kar
Kisi Ki Yadoon K Mandar Mein Charag e Shab Jalate Hein
Bohat Khud Pe Jabar Kar K Mohabbat ka Safar Kar Ke
Bas Itna Jaan Pai Hon Mohabbat Mar Nahi Sakti Mar Deti Hai
Pas aa Zara Dil ki Baat Bataon Tujh ko
Pas aa Zara Dil ki Baat Bataon Tujh ko
Kaise Dharkta hai Dil Awaz Sunaon Tujh ko
Aa ke Tu Dekh Lay Dil pe Likha Hai Naam Tera
Agar Kehta Hai to Dil Cheer k Dekhaon Tujh ko
Jitna Jalaya Hai Pyaar Mein Tu Ne Mujh ko
Dil To Karta Hai Mein Bhi Jalaon Tujh ko
Ajnabi Hota To Aise Kar Bhi Lete Shayed
Magar Tu To Apna Hai Kaise Sataon Tujh ko
Tuesday, 5 May 2015
Monday, 4 May 2015
Itna Teri Yaadon Se Mujhe
Itna Teri Yaadon Se Mujhe Pyaar Kyun Hai
Dil Terii Chahat Ka Talabgaar Kyun Hai
Meri Dharkano Ko Na Jane Tera Intezar Kyun Hai
Mujhe Batao K Mhuje Tum Se Itna Pyaar Kyun Hai
Ye Shishon k Bndhan
Ye Shishon k Sapne Ye Dhagon k Rishte
Kise hai Khabar k Kahan Toot Jayein
Mohabbat k dhare mein tinke Wafa k
Kise hai Khaber Kahan Doob Jayein
Ajaab Dil ki Basti Jine Dil se Chaha Jine
Dil se Manga
Nazar Aa Rahe Hein Wohi Ajnabi Se
Riwayat Hai Shayed Ye Sadiyon Purani
Shikayat Nahi Hai Koi Zindagi Se
Thursday, 30 April 2015
Na tum door jana ...
Na tum door jana ...
Na hum door jayein gye...
Hum apne apne wady nibhaein gye...
Bohat acha lagay ga zindagi ka safar...
Tum wahan se yaad karna...
Hum yahaan muskuraein gye...
Zara thehro chale jana...
Zara thehro chale jana...
Tume eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...
Tume armaan kehna hai...
Tume dil jaan kehna hai...
Juda karne ki sazish ko...
Hume bejaan kehna hai...
Humhe tum se ye kehna hai
Batao na...
Mohabbat k liye eik phool kafi hai ?
Ya phr tum chand mango gay ?
Ya meri jaan mango gaye ?
Sada ka saath mango gye ?
Ya phr ye haath thamo gye ?
Zara thehro...!Chale jana...
Tumhe eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...
Wednesday, 29 April 2015
Tume kiya likho???
Tume kiya likho???
Dost likho...
Humdam likho...
Gumghusar likho...
Ya pyaar likho???
Dil to chahta hai k
Duniya k tumam
Khubsurat alfaz ko
Yaqja kar k eik pyaari
Si baat likho
Tum ko apni kainaat likho
Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Eik pal mein simat ayae hon zamany jaisay
Aqal kehti hai k bhula do jo nahi mil paya
Dil wo pagal k koi baat na manay jaisay
Rastay mein wohi manzar hein purany ab tak
Bas kami hai to nahi log puraanay jaisay
Aaiyana dekh k ehsaas yehi hotaa hai
Lay gaya waqt ho umroon k khazany jaisay
Raat ki ankh se tapka howa aansu " Mohsin "
Makh'mali ghaas pe moti k daanay hon jaisay
Wednesday, 15 April 2015
Monday, 13 April 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)

















































