Mein Usay Yaadon Ki Rahon Par Dhundne Nikal Jata Hon
Aur Khushk Pattaon Ki Tarah Aksar Toot Ke Bikhar Jata Hon
Kisi Rah Guzar Pe, Kisi Pair Ke Saye Talay,Kisi Nukar Par
Wo Rashk e Qamar Nazar Ata Hai To Simat Kar Nikhar Jata Hon
Jab Wo Pochta Hai ,Kia Meri Yaadon Mein ab Bhi Rote Ho
Mein Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Saaf Mukar Jata Hon
Us Ka Dil Kabhi Naram ,Kabhi Sanglakh Chitano Jaisa Hai
Kabhi Dil Mein Utar Jata Hai,Kabhi Dil Se Utar Jata Hai
Ajab Dhoop Chahhon Jaisi Mohabbat Hai Us Ki "SAJAN"
Kabhi Pa Kar Bighar Jata Hai,Kabhi Kho Kar Sudhar Jata Hai
No comments:
Post a Comment