Suraj ko Dafnanay Aye
Dhalti Shaam Ke Lambay Saye
Dukh Ne Sukh Ka Saans Liya Hai
Kash Koi Phir Yaad Na Aye
Eik Hi Rasta Hum Dono Ka
Dekhein Koun Kahan Tak Jaye
Aaj Ghaat Se Khushbu Barsi
Jaise Koi Zulfain Lehraye
Kash Koi Samjhae Us Ko
Lekin Koun Usay Samjhaye
Tujh Se Yun Bichra Ho Jaise
Pathar Se Sheesha Takraye
Banjar Dharti Poch Rahi Hai
Chand Pe Kis Ne Shahar Basaye
Wo Khushbu Ki Mouj Hai "MOHSIN"
Koun Us Ki Tasveer Banaye