Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Eik pal mein simat ayae hon zamany jaisay
Aqal kehti hai k bhula do jo nahi mil paya
Dil wo pagal k koi baat na manay jaisay
Rastay mein wohi manzar hein purany ab tak
Bas kami hai to nahi log puraanay jaisay
Aaiyana dekh k ehsaas yehi hotaa hai
Lay gaya waqt ho umroon k khazany jaisay
Raat ki ankh se tapka howa aansu " Mohsin "
Makh'mali ghaas pe moti k daanay hon jaisay
No comments:
Post a Comment