Wednesday, 9 September 2015

Wo Mera Jism-o- Jaan , Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi


Wo Mera Jism-o- Jaan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi
Wo Hai Mera Ruh-e- Rawan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi

Wo Hai Shireen Bayan, Mein Hon Kaj Muj Zuban
Wo Hai Mera Sukhan Dan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi

Wo Hai Husan-e- Javidan, Mein Hon be Naam-o-Nishan
Wo Mera Khasa-e- khashan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi

Is Ka Talib Eik Jahan, Mere Liye Wo Sara Jahan
Wo Hai Mera Mah-e-Taban, Mein Is Ka Kuch Bhi Nahi

Is Ka Wajood Saya Amaan, Mera Wajood Nafrat Ka Makaan
Wo Mera Mehkta Gulstaan, Mein Us Ka Kuch Bhi Nahi

Wo Mere Dard Ka Darman, Is Ke Wasaf  Be Karan
Sajan Kaise Kare Bayan, "SAJAN" To Kuch Bhi Nahi







Monday, 7 September 2015

Mein Usay Yaadon Ki Rahon Par


Mein Usay Yaadon Ki Rahon Par Dhundne Nikal Jata Hon
Aur Khushk Pattaon Ki Tarah Aksar Toot Ke Bikhar Jata Hon

Kisi Rah Guzar Pe, Kisi Pair Ke Saye Talay,Kisi Nukar Par
Wo Rashk e Qamar Nazar Ata Hai To Simat Kar Nikhar Jata Hon

Jab Wo Pochta Hai ,Kia Meri Yaadon Mein ab Bhi Rote Ho
Mein Aankhon Mein Ashk Bhar Ke Saaf Mukar Jata Hon

Us Ka Dil Kabhi Naram ,Kabhi Sanglakh Chitano Jaisa Hai
Kabhi Dil Mein Utar Jata Hai,Kabhi Dil Se Utar Jata Hai

Ajab Dhoop Chahhon Jaisi Mohabbat Hai Us Ki "SAJAN"
Kabhi Pa Kar Bighar Jata Hai,Kabhi Kho Kar Sudhar Jata Hai








Wednesday, 2 September 2015

Daman Pe Lage Dagh Kisi k Dho Kar To Dekho


Daman Pe Lage Dagh Kisi k Dho Kar To Dekho
Kisi k Dukh Sare Apn Andar Samo kar To Dekho

Muskurahat Pe To Sabi Saja Lete hein Muskurahatein Apni
Kisi k Dard Pe Kabi Apni Palkein Bigho Kar To Dekho

Ache Achon ko To Seenay Se Laga Hi Lete Hein Sare
Kabhi Bure Buron Ke Bhi Tum Ho Kar To Dekho

Insaan Ho To Karo Insaano Ki Zaat Se Bhi Pyar Tum
Phool Day Kar,Kaantay Khud Ko Kabhi Chabo Kar To Dekho

Do Jahan Ki Naimaton Se Bhar Day Ga Jholi Tera Malik
Kabhi Sajde Mein Sadq- e -Dil Se Sajan Ro Kar To Dekho





Saturday, 1 August 2015

Harf e Ilzam Bano Ya Dua Ho Jaon


Harf e Ilzam Bano Ya Dua Ho Jaon
Kash Mein Kabi Tere Honton Se Ada Ho Jaon

Rook Lena Mera Haath Pakar Kar Mujhe
Bekhayali Mein Agar Tujh Se Juda Ho Jaon




Agar Mein Door Ho Jaon



Agar Mein Door Ho Jaon 
To Palkon Ko Jhapka Dena

Agar Aansu Gira Koi
Samjh Jana Wo Mein Hon

Haatheli Samne Rakhna
Ke Sab Aansu Girein Us Mein

Ruk Jaye Jo Honton Pe
Samjh Jana Wo Mein Hon

Jo Chal Jaye Hawa Thandi
To Ankhein Band Kar Lena

Jo Sab Se Tez Jhonka Ho
Samjh Jana Ke Wo Mein HoN

Agar Tum Bhulna Chaho Mujhe
 Shayed Bhula Do Mujhe Tum

Jab Sans Aye To Samjh Jana 
Ke Wo Mein Hon





Mohabbat ki Zanjeer se Dar Lagta Hai


Mohabbat ki Zanjeer se Dar Lagta Hai 
Kuch Apni Taqdeer se Dar Lagta Hai

Jo Mujhe Tum Se Juda Kar Day
Haath Ki Us Laker  Se Dar Lagta Hai






Tuesday, 7 July 2015

Kyun Ho Itnay Khafa Khafa Se


Kyun Ho Itnay Khafa Khafa Se
Kyun Ho Itnay Juda Juda Se..

Tujhe Bhula Daein To Kaisay
Kyun Ho Itnay Dua Dua Se..

Ye Tanhai Dasti Hai Mujhe,
Kyun Ho Itnay Saza Saza Se..

Tera Hi Zikar Kia Mein Ne Har Gari,
Kyun Ho Phir Itnay Bewafa Bewafa Se..

Tera Hi Naqsh Namayaan Hai Janaa,
Aashar Ki Har Ada Ada Se..







Friday, 3 July 2015

Good Morning





Suraj ko Dafnanay Aye



Suraj ko Dafnanay Aye
Dhalti Shaam Ke Lambay Saye

Dukh Ne Sukh Ka Saans Liya Hai
Kash Koi Phir Yaad Na Aye

Eik Hi Rasta Hum Dono Ka
Dekhein Koun Kahan Tak Jaye

Aaj Ghaat Se Khushbu Barsi
Jaise Koi Zulfain Lehraye

Kash Koi Samjhae Us Ko
Lekin Koun Usay Samjhaye

Tujh Se Yun Bichra Ho Jaise
Pathar Se Sheesha Takraye

Banjar Dharti Poch Rahi Hai
Chand Pe Kis Ne Shahar Basaye

Wo Khushbu Ki Mouj Hai "MOHSIN"
Koun Us Ki Tasveer Banaye







Tum Saath Ho To Muqaddar Pe Hai Hakoomat Apni,


Tum Saath Ho To Muqaddar Pe Hai Hakoomat Apni,
Bin Tere Zindagi Ki Aukaat Hi Kya Hai...





Udas Raatein Aur Mera Arooj -e - Tanhai To Dekho,



Udas Raatein Aur Mera Arooj -e - Tanhai To Dekho,
Ke Mujhe Phir Tum,Eik Tum,Bas Tum Yaad Aa Rahe Ho...!!






Wednesday, 1 July 2015

Kia Zarori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetein Tabish



Kia Zarori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetein Tabish
Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai,,,

Tuesday, 30 June 2015

Kaha Tha na Mein Nazuk Hun na Tarash Mujhay



Kaha Tha na Mein Nazuk Hun na Tarash Mujhay
Janun ne Kar Diya Pash Pash Mujhay

Mujhe Khabar Karan Jo Mera Nisha Pao
Bohat Dino Se Hai Apni Talash Mujhay







Thursday, 25 June 2015

Chalo Khawab Ankhon Mein Saja Kar Dekhtay Hein


Chalo Khawab Ankhon Mein Saja Kar Dekhtay Hein
Chalo Hum Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hein


Khon K Rishton Say Aitabar Uth Gaya
Chalo Benam Rishtay Bana Kar Dekhtay Hein


Zindagi Asan Ho Jaye Shayad Humari
Chalo Hath Ki Lakirien Mita Kar Dekhtay Hein


Andheri Shab Tu Kisi Surat Kat'ti Nahi
Chalo Ghar Apna Jala Kar Dekhtay Hein


Hamein Maloom Hay K Tum Nay Hamara Hona Nahi
Chalo Tum Per Ye Zindagi Luta Kar Dekhtay Hein...





Wednesday, 24 June 2015

Mujhe Tum Yaad Ate Ho,


Mujhe Tum Yaad Ate Ho,

Kahein Koi Samadar Ho,Kahein Koi Kinara Ho,
Kahein Qudrat k Manzar Ka Koi Dilkash Nazara Ho,

Kahein Bheegay Se Badal Ne Koi Mosam Sanwara Ho,
Koi Sundar Sa Moti Ho, Koi Roshan Sitaara Ho,

Kisi Jashmay Mein Qudrat Ney Dhanak Sa Raang Utara Ho,
Us Lamhay Mujhe Tum Yaad Aate Ho Mujhe Tum Yaad Ate Ho,








Tuesday, 23 June 2015

Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai



Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Mujh Pe Ehsan Hawa Karti Hai

Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar
Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai

Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi
Jo Mujhe Tuj Se Juda Karti Hai

Zindagi Meri Thi Lekin Ab To
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai

Us Ne Dekha Hi Nahein Warna Ye Ankh
Dil Ka Ehwal Kaha Karti Hai

Beniyazi-e-Kaf-e-Dariya Angusht
Ret Par Naam Likha Karti Hai

Sham Parte Hi Kisi Shakhs Ki Yaad
Kucha-e-Jana Mein Sada Karti Hai

Mujh Se Bhi Us Ka Waisa Hi Suluk
Hal Jo Tera Ana???Karti Hai


Dukh Hua Karta Hai Kuch Aur Bayan
Baat Kuch Aur Howa Karti Hai

Abr Barse To Inayat Us Ki
Shakh To Sirf Dua Karti Hai


Masla Jab Bhi Utha CHiragon Ka
Faisala Sirf Hawa Karti Hai...