The home of urdu poetry, urdu shayari, sad shayari, urdu sms, love poetry, sad poetry and hindi shayaris. Most updated urdu poetry website on the web with hundreds of poetry categories on lots of topics.
Labels
- 2 line poetry (55)
- ghazal (42)
- Nazam (15)
- 4line poetry (14)
- video poetry (13)
- Good Morning (12)
- love shairy (9)
- sad poetry (8)
- Yad shairy (4)
Wednesday, 6 May 2015
Pas aa Zara Dil ki Baat Bataon Tujh ko
Pas aa Zara Dil ki Baat Bataon Tujh ko
Kaise Dharkta hai Dil Awaz Sunaon Tujh ko
Aa ke Tu Dekh Lay Dil pe Likha Hai Naam Tera
Agar Kehta Hai to Dil Cheer k Dekhaon Tujh ko
Jitna Jalaya Hai Pyaar Mein Tu Ne Mujh ko
Dil To Karta Hai Mein Bhi Jalaon Tujh ko
Ajnabi Hota To Aise Kar Bhi Lete Shayed
Magar Tu To Apna Hai Kaise Sataon Tujh ko
Tuesday, 5 May 2015
Monday, 4 May 2015
Itna Teri Yaadon Se Mujhe
Itna Teri Yaadon Se Mujhe Pyaar Kyun Hai
Dil Terii Chahat Ka Talabgaar Kyun Hai
Meri Dharkano Ko Na Jane Tera Intezar Kyun Hai
Mujhe Batao K Mhuje Tum Se Itna Pyaar Kyun Hai
Ye Shishon k Bndhan
Ye Shishon k Sapne Ye Dhagon k Rishte
Kise hai Khabar k Kahan Toot Jayein
Mohabbat k dhare mein tinke Wafa k
Kise hai Khaber Kahan Doob Jayein
Ajaab Dil ki Basti Jine Dil se Chaha Jine
Dil se Manga
Nazar Aa Rahe Hein Wohi Ajnabi Se
Riwayat Hai Shayed Ye Sadiyon Purani
Shikayat Nahi Hai Koi Zindagi Se
Thursday, 30 April 2015
Na tum door jana ...
Na tum door jana ...
Na hum door jayein gye...
Hum apne apne wady nibhaein gye...
Bohat acha lagay ga zindagi ka safar...
Tum wahan se yaad karna...
Hum yahaan muskuraein gye...
Zara thehro chale jana...
Zara thehro chale jana...
Tume eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...
Tume armaan kehna hai...
Tume dil jaan kehna hai...
Juda karne ki sazish ko...
Hume bejaan kehna hai...
Humhe tum se ye kehna hai
Batao na...
Mohabbat k liye eik phool kafi hai ?
Ya phr tum chand mango gay ?
Ya meri jaan mango gaye ?
Sada ka saath mango gye ?
Ya phr ye haath thamo gye ?
Zara thehro...!Chale jana...
Tumhe eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...
Wednesday, 29 April 2015
Tume kiya likho???
Tume kiya likho???
Dost likho...
Humdam likho...
Gumghusar likho...
Ya pyaar likho???
Dil to chahta hai k
Duniya k tumam
Khubsurat alfaz ko
Yaqja kar k eik pyaari
Si baat likho
Tum ko apni kainaat likho
Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Eik pal mein simat ayae hon zamany jaisay
Aqal kehti hai k bhula do jo nahi mil paya
Dil wo pagal k koi baat na manay jaisay
Rastay mein wohi manzar hein purany ab tak
Bas kami hai to nahi log puraanay jaisay
Aaiyana dekh k ehsaas yehi hotaa hai
Lay gaya waqt ho umroon k khazany jaisay
Raat ki ankh se tapka howa aansu " Mohsin "
Makh'mali ghaas pe moti k daanay hon jaisay
Wednesday, 15 April 2015
Monday, 13 April 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)














