Thursday, 30 April 2015

Lipta hai mere dil se kisi raz ki man'nd



Lipta hai mere dil se kisi raz ki man'nd
Wo shakh jis ne mera hona hi nahi hai




Zara thehro chale jana...



Zara thehro chale jana...
Tume eik phool dena hai...

Aur tum se ehad lena hai...
Tume armaan kehna hai...

Tume dil jaan kehna hai...

Juda karne ki sazish ko...
Hume bejaan kehna hai...

Humhe tum se ye kehna hai

Batao na...

Mohabbat k liye eik phool kafi hai ?
Ya phr tum chand mango gay ?

Ya meri jaan mango gaye ?
Sada ka saath mango gye ?

Ya phr ye haath thamo gye ?

Zara thehro...!Chale jana...

Tumhe eik phool dena hai...
Aur tum se ehad lena hai...




Wednesday, 29 April 2015

Tume kiya likho???



Tume kiya likho???

Dost likho...

Humdam likho...

Gumghusar likho...

Ya pyaar likho???

Dil to chahta hai k

Duniya k tumam 

Khubsurat alfaz ko 

Yaqja kar k eik pyaari

Si baat likho

Tum ko apni kainaat likho






Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay



Jagti Raat k Honto'n pe fasanay jaisay
Eik pal mein simat ayae hon zamany jaisay


Aqal kehti hai k bhula do jo nahi mil paya
Dil wo pagal k koi baat na manay jaisay

Rastay mein wohi manzar hein purany ab tak
Bas kami hai to nahi log puraanay jaisay


Aaiyana dekh k ehsaas yehi hotaa hai
Lay gaya waqt ho umroon k khazany jaisay


Raat ki ankh se tapka howa aansu " Mohsin "
Makh'mali ghaas pe moti k daanay hon jaisay






Monday, 13 April 2015

Saturday, 21 March 2015


Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho
Saaya sa koi lehraaye to lagta hai ke tum ho


Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman mein
Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho


Sandal si mehkti huyi pur-kaif  havaa ka
Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho


Orrhe  huye  taaron ki chamakti huyi chadaar
Nadi koi bal khulye to lagta hai ke tum ho


Jab raat gaye koi kiran mere baraabar
Chup-chaap si so jaye to lagta hai ke tum ho





Ajab halat thay meray by AliNawazRabaira

Rehta hai eik Bacha sa Mere Wajood Mein Husnain..


Rehta hai eik Bacha sa Mere Wajood Mein Husnain
Behelta hai jo Teri Yaadon k Khilone se...