Wednesday, 11 June 2014

Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala


 Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala

Ab ise log smjhte hein giraftaar mere
Sakhat nadim hai mujhe daam mein lane wala

Kia kahein kitne marasim thi is se
Wo jo eik shakhs hai munh pher k jane wala

Tere hote hue aa jati thi sari duniya
Aj tanha hon to koi nahi ane wala

Muntazir kis ka hon tuti hui dahaliz pe mein
Koun aye ga yahan koun hai ane wala

Mein ne dekha hai baharon mein jalte hue
Hai koi khawab ki tabeer batane wala

Kia khaber thi jo meri jaan mein gula hai itna
Hai wohi mujh ko sare dar bhi lane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlas smjhte ho "Faraz"
Dost hota nahi har haath milane wala


No comments: