The home of urdu poetry, urdu shayari, sad shayari, urdu sms, love poetry, sad poetry and hindi shayaris. Most updated urdu poetry website on the web with hundreds of poetry categories on lots of topics.
Labels
- 2 line poetry (55)
- ghazal (42)
- Nazam (15)
- 4line poetry (14)
- video poetry (13)
- Good Morning (12)
- love shairy (9)
- sad poetry (8)
- Yad shairy (4)
Sunday, 22 June 2014
Saans atki hui reh gai
Ishq mein kuch kami reh gai
Dil se sab rahtein uth gaein
Ab to bas be basi reh gai
Umer k har haseen mor par
Zindagi sochti reh gai
Hans diye hum bichar k magar
Aankh mein kuch nami reh gai
Doston ne kiye wo karam
Dushmani dekhti reh gai
Ho gaye wo musahib to kia
gir dino mein khami reh gai
Shad aai sehar to magar
Roshni mein kami reh gai
Eik shakhs pas reh kar smjha nahi mujhe
Eik shakhs pas reh k smjha nahi mujhe
Is baat ka malal hai shikwa nahi mujhe
Mein us ko bewafai ka ilzam kaise don
Us ne to ibteda se hi chaha nahi mujhe
Pathar samjh kar paon se thokar laga di
Afsos teri aankh ne parkha nahi mujhe
Kia umeedhein bandh kar aya tha samne
Us ne to aankh phar kar dekha nahi mujhe
Wednesday, 18 June 2014
Usne jab jab bhi mujh ko dil se pukara 'Mohsin
Mein ne tab tab ye bataya ke tumhara "Mohsin
Log sadiyo ki khataon se bhi khush baste hein
Hum ko lamhon ki Wafaon ne ujara "Mohsin
Jab aa gaya ho ye yaqeen ab wo nahi aye ga
Gham aur anso ne diya dil ko sahara "Mohsin
Wo tha jab pass to jeene ko bhi dil krta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara "Mohsin
Us ko pana to maqader ki lakeeron mein nahi
Us ko khona bhi krein kaise gowara 'Mohsin
Tuesday, 17 June 2014
Yun wafa k silsilay musalsal narakh kisi se "Mohasin"
Yun wafa k silsilay musalsal na rakh kisi se " Mohsin"
Log eik wafa k badlay sari wafaein bhul jate hein
Monday, 16 June 2014
Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna
Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna
Log pochein gye kyun preshan ho tum
Kuch nigahon se kehna ,Zuban pe taalay rakhna
Na khoney dena mere beetay lamhon ko
Meri yadon ko baray pyar se sambhaley rakhna
Tum loat aao gye itna yakeen hai mujh ko
Mere liye kuch waqt nikaley rakhna
Hum ne kuch naya dekha hi tum mein phir
Mere liye apney andaaz niraley rakhna
Mujh se door ho to khud ko sambhaly rakhna
Agar Zindagi agar sohani hoti
Kitni be maza humari kahani hoti
Ghum se naaqaf agar sab hote
Khushi kia hai,Baat anjani hoti
Mout se hum fazool darte hein
Ye na hoti to kab zindagi hoti
Koi bhi mohtaj na kisi ka hota
Na lafz shukriya na mehrbani hoti
Basharat soch eik burhapa hi tera na hota
Tujhe jawani ki kab yun qadardani hoti
Sunday, 15 June 2014
Mein hon tera khyal hai aur chaand raat hai
Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai
Aankhon mein chub gai teri yaad ki kirchiyan
Kandon pe ghum ki shaal hai aur chaand raat hai
Dil tor k khamosh nazron ko kia mila
Shabnum ka ye sawal hai aur chaand raat
Phr titliyan si urne lagi dasht e khawab mein
Phr khawahish e wisaal hai aur chaand raat hai
Campus ki nehar per hai tera haath haath mein
Mousam bhi lazawal hai aur chaand raat hai
Har eik kali ne orh liya matami libas
Har phool par malal hai aur chaand raat hai
Meri to por por mein khushi si bas gai
Us par tera khyal hai aur chaand raat hai
Chalka sa par raha hai wasi wehshton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chaand raat hai
Saturday, 14 June 2014
Kabhi ye dawaa k wo mera hai faqat mera
Kabhi ye dar k wo mujh se juda to nahi
Kabhi ye dua k use mil jayein sare jahan ki khushiyan
Kabhi ye khof k wo khush mere bina to nahi
Kabhi ye tamana k bas jaon us ki nigahon mein
Kabhi ye dar k us ki aankhon ko kisi ne dekha to nahi
Kabhi ye khawahish k zamana ho muntazir us ka
Kabhi ye veham k wo kisi se mila to nahi
Kabhi ye Aarzu k wo jo mange mil jaye usay
Kabhi ye waswasa k us ne mere siwa kuch manga to nahi
Wednesday, 11 June 2014
Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala
Ab ise log smjhte hein giraftaar mere
Sakhat nadim hai mujhe daam mein lane wala
Kia kahein kitne marasim thi is se
Wo jo eik shakhs hai munh pher k jane wala
Tere hote hue aa jati thi sari duniya
Aj tanha hon to koi nahi ane wala
Muntazir kis ka hon tuti hui dahaliz pe mein
Koun aye ga yahan koun hai ane wala
Mein ne dekha hai baharon mein jalte hue
Hai koi khawab ki tabeer batane wala
Kia khaber thi jo meri jaan mein gula hai itna
Hai wohi mujh ko sare dar bhi lane wala
Tum takaluf ko bhi ikhlas smjhte ho "Faraz"
Dost hota nahi har haath milane wala
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa ha
Goya k Mohabbat nahi Ahsaan kia hai
Socha tha k tum Dosron jaise Nahi ho gye
Tum ne bhi meri jaan wohi kaam kia hai
Mushkil tha Bohat mere liye Tark e Taaluq
Ye kaam bhi tum ne mera aasaan kia hai
Hae roz Sajate hein teri Hijar mein Gunche
Aankhon ko teri Yaad mein Guldan kia hai
Monday, 9 June 2014
Phir Chand Khila ,Phir Raat thami
Mere Dil ne kaha hai Teri Kami
Phir Yaad k Jhonkey Mehak gaye
Phir Pagal Armaan behak gaye
Phir Jannat si lagti hai Zameen
Phir Dil ne kaha hai Teri Kami
Phir Guzre lamhoon ki baatein
Phir Jaagi Jaagi si Raatein
Phir thehr gai Palkoon pe Nami
Phir Dil ne Kaha hai Teri Kami
Sunday, 8 June 2014
Saath to eik pal ka tha phr kyun yaad ate ho tum
Saath to eik pal ka tha phr kyun mujhe yad ate ho tum
Aks ki tarah mere Dil pe kyun chaa jate ho tum
Dilbar bhi nahi ho mere humdam bhi nahi
Ye raaste pyar k mujhe phr kyun dikha jate ho tum
Hum kabhi mile thy to eik ajnabi ki tarah
Meri raaton ki neend phr kyun ura jate ho tum
Hawa se hum tumhara pata pochte rahe
Kuch aisi tarah se apna dewana bana jate ho tum
Saath to eik pal ka tha phr kyun yaad ate ho tum
Thursday, 5 June 2014
Eik shakhs jo door bohat door kahein rehta hai
Phr bhi dil k eik kone mein kahein rehta hai
Mein manta na tha keh, Mohabbat hai mujhe us say
Phr kyun rota raha raat bhar,Dil apna hi mujhe kehta hai
Kia haal bataon is pyar mein Faisal
Aankhon se to jaies koi daryaa sa behta hai
Wo mera hai mera ho ga umer bhar k liye
Bas issi khushfehmi mein dil sona sa rehta hai
Wednesday, 4 June 2014
Hume ab kho k keht hai mujhe tum yad ate
Hume ab kho k keht hai mujhe tum yad ate
Kisi ka ho k kehta hai mujhe tum yad ate ho
Tummam umer diye hein dukh usne dukh mere dil ko
Wo hi ab roo k kehta hai mujhe tum yad ate ho
Tuesday, 3 June 2014
Wo ujhal meri Nigahon se kahan Rehta hai
Wo ujhal meri Nigahon se kahan Rehta hai
Ashk ban kar meri Aankhon se raan Rehta hai
Kisi lamhe Tanha hone nahi deti us ki Yadein
Mere Aangan mein melay ka Sama Rehta hai
Har ghari Dil ka daricha khula Rehta hai
Har ghari us k Ane ka Gumaan Rehta hai
Log kehte hein Zakham bhar jate hein Akhir
Zakham bhar jata hai,lekin Nishan Rehta hai
Wo mile kahein to Itna bata dena Us ko
Tujh bin tera Dost pareshaan Rehta hai
Monday, 2 June 2014
Shehr e Khyal o Khawab mein Abad ho Gaya
Shehr e Khyal o Khawab mein Abad ho Gaya
Itna Usay Parha k Mujhe Yaad ho Gaya
Mein aj Tak hon jis k Fareeb o Hisar Mein
Wo aur hi kisi ka Mere Baad ho Gaya
Aandhi Hawa k saath Nibhane k shok Mein
Koi Tabah howa ,Koi Barbad ho Gaya
Apni to Sari Umer Aseeri mein Kat Gai
Jis ne bhi Haar Maan li Azaad ho Gaya
Pehly to Tanhaiyo se rahi Guftagu Meri
Phr Yun howa k Aaina Ejaad ho Gaya
Sunday, 1 June 2014
Kabhi kuch Soch k likhna,Kabhi kuch Soch k parhna
Kabhi kuch Soch k likhna ,kabhi kuch Soch k Parhna
Ye Na'mumkin si koshish hai Mohabbat Soch k Karna
Kisi ka dilruba Chehra or us pe Dil'nasheen Aankhein
Keh Jis ko Dekh k Jeena usi ke Naam Pe Marna
Ye Na'mumkin si Koshish hai Mohabbat Soch k Karna
Khyaloon Mein bana lena kisi ka Aqs Dheeray Se
Chura k rang Sapno k kisi ki Aankh mein Bharna
Ye Na;mumkin si Koshish hai Mohabbat Soch k Karna
Subscribe to:
Posts (Atom)