Thursday, 29 May 2014

Dasht-e-Hijran Mein Saya Na Sada, Terey Baad

Dasht-e-Hijran Mein Saya Na Sada, Terey Baad 
Kitney Tanha hein terey aAbla- paa, Terey Baad

     Lab pay Eik Haraf e Talab tha na Raha ,Terey Baad
     Dil mein Taseer ki Khawahish na Dua ,Terey Baad

    Aik Hum Hein k Hein Be Barg o Nawa, Terey Baad
    Warna Aabad Hai Eik Khalq e Khuda ,Terey Baad


   Eik Qayamat ki Khirashien Merey Chehre pay Sajein
   Eik Mehshar  Merey  Andar se Utha ,Tere Baad

    Tu k Simta To Rag e Jaan ki Hadon Mein Simta
    Mein k Bikhra To Simta Na Gaya , Terey Baad

   Ye Aalag Baat k  Afshaan na Howa Tu Warna
    Mein ney Kitna Tujhe Mehsoos Kia , Terey Baad

   Meri Dukhti Hui Aankhon Se Gawahi Lena
   Mein Ne Socha Tujhe Apne Se Siwa , Terey Baad

  Seh Liya Dil ne Terey Baad Malaamat ka Aazab
  Warna Chubti hai Rag e Jaan Mein Hawa ,Terey Baad

No comments: