Sunday, 14 September 2014

Sirf Mein Hi Tham Sakon Haath Us Ka


Sirf Mein Hi Tham Sakhoon Haath Us Ka
Mujh Pe Itni Anaayat Si Kar Day


Wo Reh Paye Na Eik Pal Bhi Mere Bina
Aye Khuda Tu Us Ko Meri Adaat Si Kar Day


Itna Toot K Chahoon Mein Us Ko
K Meri Chahat Ko Us Ki Adaat Si kar Day


Koi Cho Na Paye Apne Khyalat Mein Bhi Us Ko
Har Eik K Zehaan Mein Us Ki Hafazat Si Kar Day


Band Aankhon Mein Bhi Dekh Paon Us Ko
Meri Nazar Ko Aisi Ijaazat Si Kar Day


Rakhon Gi Khyal Us Ka Umer Bhar K Liye
Apne Ap Ko Wo  Meri Amanat Si Kar Day








Pura Dukh Aur Aadhura Chaand
Hijr Ki Shab Aur Aisaa Chaand


Itne Ghane Badal K Pechhe
Kitna Tanhaa Hoga Chaand


Meri Karwat pe Jag Uthe
Neend Ka Kitna Kachaa Chaand


Sehra Sehra Bhatak Rahaa Hai
Apne Ishq Mein Sachaa Chaand


Raat K Shayed Ek Baje Hein
Sotaa Hoga Meraa Caand







Monday, 8 September 2014


Pehly Mera Khat Ke Us Ne
Ik Anjane KHof ke Dar Kar
Tukre Tukre Kar Dale
Ab
Ik Haseen Ihsaas Ke Tab'a
Jis Ka Koi Naam Nahi Hai
Pichle Kitne Hi Ghanton Se
Darwaze Ki Aoot Main Chup Kar
Tukre Jor Rahi Hai... Pagal 





Aaj Yun Mausam Ne De Jashn-e-Mohabbat ki Khabar
Phoot ker Rone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Hum Ne Joon Hi Kar Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Raastey Khone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya
Devta Hone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum


Aaj Phir Mehroomiyon Khabi Daastane Orh Kar
Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum


Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi
Khamoshi Dhone Lage Hein Mai Muhabbat Aur Tum










 

Kitna shafaaf tha manzar mera


Kitna shafaaf tha manzar mera
Kitni dhool urri hai mujh mein


Zindagi kabi raqss karti thi
Ab to chup chaap pari hai mujh mein




Sunday, 7 September 2014


Apni hi saada sunun kahan tak ???
Jungal ki hawa rahon kahan tak???


Har bar hawa na ho gi dar par
Har bar magar uthon kahan tak???


Dum ghut'ta hai ghar mein hubas wo hai
khushbu k liye apna raffuu karon kahan tak???


Sahil se samandaron se bach kar
Mein tera naam likhon kahan tak???


Tanhai ka eik eik lamha
Hangamon se qarz lon kahan tak???


Gar lams nahi to lafz hi bhej
Mein tujh se juda rahon kahan tak???


Sukh se bhi to dosti kabi ho
Dukh se hi gale milon kahan tak???


Mansob ho har kiran kisi se
Apne liye hi jalun kahan tak???


Anchal bhar k mere phat rahe hein
Phool us k liye chunu kahan tak???









Tummam raat mere ghar ka ...


Tummam raat mere ghar ka eik dar khula raha
Mein raah dekhti rahi wo raasta badal gya





Monday, 1 September 2014

Uss ke baghair aj bohat...


Uss ke baghair aj bohat jee udaas hai
Jalib chalo kahein se usay dhoond layein hum





Wednesday, 27 August 2014

um to bas aisay hi hein "nayab"


Hum  to  bas  aisay  hi  hein  "nayab"
Jo ghum ho jayein to khud ko bhi na milein


Saturday, 23 August 2014

Awaz day k chup gayi har bar Zindagi


Awaz day k chup gayi har bar Zindagi
Hum aisay sada dil thy k har bar aa gaye








Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha?


Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha?
Us ko ranj na jane meri kis baat se tha?
La-taluq raha logo ki tarah wo bhi
Jo achi tarah waqif mere halaat se tha





Friday, 22 August 2014

Kia koi neyi baat nazar aai hai hum mein


Kia koi neyi baat nazar aai hai hum mein
Aayina  hume dekh k heraan sa kyun hai ?