Kal Raat Ye kaisa sapna tha
Eik umer hui jo bichra tha
Wo shab bhar saath tha apna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Jab khawab mein hum dono thy mile
Dono ke mann ke phool khile
Phir khub howe thy gile shikwe
Kia tera mujh se liptna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Thein yaad humein saari baatein
Wo pyaare din wo pyaari raatein
Chup chup ke thein pyar ki ghatein
Tera chori ghar se nikalna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Honton par tere tabassum tha
Aur ankh ka sehra purnum tha
Tha shaad kabhi tu barham tha
Kabhi mujh ko tera takna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Kia ghair tha tera haal sanam
Chup ankhein bikhre baal sanam
Kia kar gye mah o saal sanam
Kia waqt ko yun hi guzarna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Tujhe pa kar hum madhosh howe
Nashe mein kuch behosh howe
Phir yakdam tum khamosh howe
Phir eik dam ankh ka khulna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha
Ab mein hon yaad tumhari hai
Abi raat bhi baqi saari hai
Ab zeest ye nujh par bhari hai
Mera sapna yun hi bikharna tha
Kal raat ye kaisa sapna tha